phir woh akelapan
woh tanhai
wahi guzarey huay paloan ki yaad
wahi chahat wahi junoon...baar baar
kyon yaad aatey ho mujhko tum itna
yeh jaantey huay
ki phir hogi ek aur judaaii
phir bunoongi main
apney mann mein
nayey lamhoan key sapney
phir behengey aansoon akeley mein...
khwaaboan mein tumhaari surat dekhoon mein
aur sooni vaadiyoan mein
sunti hoon main tumhaari hi awaaz
har pal reheta hain tumhaara khayaal merey mann mein
yeh kaisi diwaani hoon main...
kaisi diwaani hoon main...
begaani si shayad
paglai si shayad
kya thi radha bhi aisi
apney kanhaiya key baarey main???