ek darr hai mann mein aaj
ki yeh sundar khwaab jo main har pal dekh rahi hoon
toot na jaaye
yeh sapna,
samay ki dhaara key sang
reth bankar
behey naa jaaye...
jeeney ka maqsad hai yeh
hawa key jhaunkey mein mil kar
kisi aur ud na jaaye...
umeed bhi ek aisi cheez hai
jismey har mann ki asha
ek nai raah dikhaati hai
ek naya sapna zindagi sey dilwaati hai...
kyon darti hoon main phir
ab is pal
jab ehsaas hai
ki beshumaar pyaar hai merey jahaan main...kyon phir lagta hai
ki kisi ki irsha
shayad kheech legi meri kushi mujhsey.. kyon?